naye kapade badal kar jaon kahan aur baal banaon kis ke liye

wo shaKhs to shahar he chod gayaa ab Khaak udaon kis ke liye

jis dhoop ki dil ko thandak thi wo dhoop usi ke saath ga’ee

in jalti bujhti galiyon main ab Khaak udaon kis ke liye

wo shahar main tha to us ke liye auron se milna padta tha

ab aise waise logon ke main naaz uthaoon kis ke liye

ab shahar main is ka badal he nahi koi waisa jaan-e-ghazal he nahi

aiwan-e-ghazal main lafzon ke guldaan sajaon kis ke liye

mudat se koi aaya na gaya sun saan padi hai ghar ki fazaa

in Khali kamron main ‘Nasir’ ab shammaa jalaoon kis ke liye