Nahe minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein yahan to bat krne ko tarasti hai zaban meri uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri