muddaii laakh buraa chaahe to kyaa hotaa hai

vahii hotaa hai jo manzuur-e-Khudaa hotaa hai

surkhruu hotaa hai insaaN ThokareN khaane ke baad

rang laatii hai hinaa patthar pe pis jaane ke baad

voh phuul sar chaRhaa jo chaman se nikal gayaa

izzat use milii jo vatan se nikal gayaa

haqiiqat chhup nahiiN saktii banaavaT ke usuuloN se

ki Khushbuu aa nahiiN saktii kabhii kaaGhaz ke phuuloN se

miTaa de apnii hastii ko gar kuchh martabaa chaahe

ki daana Khaak meN mil kar gul-o-gulzaar hotaa hai