merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hain

likhaa hai ye Khat men ki ham aa rahe hain

Thahar jaa zaraa aur dard-e-furqat

hamaare tasavvur men vo aa rahe hain

Gam-e-aaqabat hai na fikr-e-zamaanaa

piye jaa rahe hain jiye jaa rahe hain

nahiin shikavaa-e-tashnagii mayakashon ko

vo aaNkhon se maiKhaane barasaa rahe hain

vo rashk-e-bahaar aanevaalaa hai ‘Akhtar’

kaNval hasaraton ke khile jaa rahe hain