mera sub kuch mere gham k siwa takseem hota hai

lahoo mera ba andaaz-e hina takseem hota hai

shahensha nok-e khanjar se lakeeren haath par dale

yaha essay bhi kismat ka likhaa takseem hota hai

koye pathar koye suraj koye poojhe sitaron ko

na jaane kitne hison mai khodaa takseem hota hai

zara dekho meri kismat so-embar jeet aaya hon

gaya thaa poochne logon se kya takseem hota hai

mohabat maangti hai saath tera aur too kehta hai

yaha se ab hamara raasta takseem hota hai

shikayat kya karoon Anjom khoda se apni kismat ki

jo kuch takseem hota hai baja takseem hota hai