Kuch Khabar Toh LaYi Hai Baad-e-Bahaaran Us Ki

Shayad Iss Rah SE Guzrey Gi Sawari Us Ki

Mera Chehraa Hai Faqt us Ki Nazar Say Roshan

Aur Baqi Jo Hai Nazm Mein Nigaari Us Ki

Ankh Uthaa Kar Jo Rawadaar Na Thay Dekhne Ko

Wohi Dil Karta Hai Ab Minaat-o-Zaarii Us Ki

Raat Ki Ankh Mein Hain Halkey Ghulabi Doorey

Neend Say Palkain Hoi Jaatin Hain Bhaari Us Ki

Us K Darbaar Mein Hazir Huwa Yeh Dil

Aur Phir Dekhne Wali Thi Kaar Guzaarii Us Ki

Aj Toh Us Pe Thehrtii He Na Thi Ankh Zarah

KE jaatey Hi Nazar MEin Ne Uthaarii Us Ki

Arsaa-e-Khaab Mein Rehna Hai KE Loot Aana Hai

Faislaa Karne Ki Hai Baari Us Ki