kitna aasaan moHabbat meN hai dhokaa karna

varna yeh i’shq faqat sar ka hai sodaa karna

kis ko aata hai bhala e’hd ka eefaa karna

verna aata hai yahaN sab ko hee da’waa karna

tum ne seekhee hai kahaN? zikr yeh be-jaa karna

baatooN baatooN meN kisee baat pe uljhaa jkarna

apne kehne ka bharam rakh~ nah sako ge tum bhi

phir kaho ge kabhi aisaa, kabi vaisaa karna

tum nah maano ge kabhi apni KhataheN lekin!

kabhi furSat meN meree baat peh sochaa karna

jo hoova mujh peh gawaraa hai mujhee ko lekin!

phir nah is-tarHa kisee aur ko ruswaa karna

chand lamHooN meN bikhar jaatee hai dil kee dunya

u’mr lagtee hai use joR ke yak-jaa karma

thak gayii chalte hoove baad-e-muKhalif

ruKh hawaooN ka idhar bhi kabhi moRaa karna