Khird ke paas Khabar ke siwaa kuchh aur nahin

teraa ilaaj nazar ke siwaa kuchh aur nahin

har muqaam se aage muqaam hai teraa

hayaat zauq-e-safar ke siwaa kuchh aur nahin

rangoun mein gardish-e-KhuuN hai agar to kyaa haasil

hayaat soz-e-jigar ke siwaa kuchh aur nahin

uruus-e-laalaa munaasib nahin hai mujhase hijaab

ki mai.n nasiim-e-sahar ke siwaa kuchh aur nahin

jise qasaad samajhate hai.n taajaran-e-firang

wo shay mataa-e-hunar ke siwaa kcuhh aur nahin

giraan-bahaa hai to hifz-e-Khudii se hai warnaa

gauhar mein aab-e-gauhar ke siwaa kuchh aur nahin