Khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin tera ilaj nazar k siwa kuch aur nahin har muqam se age muqam hai tera hayat zauq-e-safar k siwa kuch nahin rangon mein gardish-e-kun hai agar to kya hasil hayat soz-e-jigar k siwa kuch aur nahin urus-e-lala munasib nahin hai mujhse hijab k main nasim-e-shahar siwa kuch aur nahin jise qasad samajhte hain tajran-é-firang wo shay mata-e-hunar k siwa kuch aur nahin giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna gauhar mein ab-e- gauhar k siwa kuch aur nahin