karoroN saal kaa dekhaa huaa tamaashaa hai

yah raqs-e-ziist ki be-qasd-o-be-iraadaa hai

ajab mauj subuk-ser thii havaa-e-jahaaN

guzar gaii to koii naqsh hai na jaada hai

nishaat lamhe ki voh qiimateN chukaaii haiN

ki ab zaraa sii masarrat pe dil laraztaa hai

akela maiN hii nahiiN aye tamaashaagaah-e-jahaaN

jo sabko dekh rahaa hai voh bhii tanhaa hai

usii se rishta-e-dil usii se ruugardaaN

usii ko DhuunDh rahaa huuN usii se jhagDaa hai