Karb chehray se maah-o-saal ka dhoya jaye,

Aaj fursat se kahin baith k roya jaye.

Phir kisi nazm ki tamheed uthaai jaye,

Phir kisi jism ko lafzon main samoya jaye.

Kuch to ho raat ki sarhad mein utarnay ki saza

garm sooraj ko samundar mein doboya jaye.

Itni jaldi to badalty nhi hon gy chehry,

Gard aalood hain aaeiny, inhe dhoya jaye.

Mout se Khof ziyada jeenay se bezaar hain log,

Is almiyey pe hansa jaye k roya jaye…!