kaduuratoN ke darmiyaaN adaavatoN ke darmiyaaN

tamaam dost ajnabii haiN dostoN ke darmiyaaN

zamaanaa merii daastaaN pe ro rahaa hai aaj kyuuN

yehii to kal sunii gayii thii qahqahoN ke darmiyaaN

zamiir-e-asr meN kabhii navaa-e-dard meN kabhii

suKhan-saraa to maiN bhii huuN sadaaqatoN ke darmiyaaN

shauur-e-asr dhuuNdtaa rahaa hai mujhko aur maiN

magan huuN ahd-e-raftaGhaaN kii azmatoN ke darmiyaaN

abhii shikast kyaa, ke razm-e-aaKhirii ek aur hai

pukaartii hai zindagii haziimatoN ke darmiyaaN

hazaar burdbaariyoN ke saath jii rahe haiN ham

muhaal thaa ye kaar-e-ziist vahshatoN ke darmiyaaN

ye sochte haiN kab talak zamiir ko bachaayeNge

agar yuuN hii jiyaa kare zaruuratoN ke darmiyaaN