*. .Jalwa baqader e zarf e nazer daikhtay rahay.

Kia daikhtay hum un ko mgr daikhtay rahay.

Apna he aks paish e nazer daikhtay rahay.

Aaina rubaru tha jidher daikhtay rahay.

Unki hareem e naz kahan aur hum kahan,

naqsho nigar parda e der daikhtay rahay.

Aisi bhi kuch firaaq ki ratain guzer gaen,

jaisay unhi ko paishey nazer daikhtay rahay.

her lehza shan e husn badalti rahe jiger.

Her aan hum jahan e deger daikhtay rahay. .*

RõçKs.*.*.*