ishq kiya maine aur fanaa* ho gaya,

yun jist** ji rashke-masiha*** ho gaya.

*barbaad **zindagi ***masiha ko lazzit kar dene wala.

humne jo ki meherbaaniyan unpe,to,

unhe shikwa-e-mahro-wafa ho* gaya.

*meherbaaniyon ki shikayat.

jin khoobiyon pe unki hum marte hain,

wahi unke liye uzr-e-jafaa* ho gaya.

*bewafaai ka kaaran.

aap hain dil me to jeete hain hum,

nahi to kab ka dil-e-kangusta* ho gaya.

*rakt ranjit hriday.

aise gum me daal diya mujhko jalim,

khushiyon me v aaho-fugaa.n* ho gaya.

*rudan

hadd se guzar gaya hai jab-jab ye dard,

~**~**~