hum toh samajhtee thee bahuut kareeb hain manjeeleh

magar chalte chalte eik zamaana beet gayaa

apne andehere ghar mein toh chiraagh ban kar

ayaa thaa

chaukhat peh jalteh jalteh eik zamaana beet gayaa

ushe doodndhneh jho niklee yeh betaab nazareh

andhere mein takte takte eik zamaana beet gayaa

umeedeh wafa liye shab bhar karvateh badalteh rahein

tere wadeh peh soteh jaghtee eik zamaana beet

gayaa

kal raat woh ayaa thaa achanak mere khwaboh

mein

fir ankhe malteh malteh eik zamaana beet gayaa

sameer kee bheeghe ankhen kaheen koi raaz bayan

nah kar daleh

palkoh koh jhukate uthteh eik zamaana beet gayaa

~**~**~