Hum Parwarish-E-Loh-O-Qalam Karte Rahenge

Jo Dil Pe Guzarti Hai Raqam Karte Rahenge

Asbaab-E-Gham-E-Ishq Baham Karte Rahenge

Weeraani-E-Doraan Pe Karam Karte Rahenge

Haan Talkhi-E-Aiyaam Abhi Aur Barhe Gii

Haan Ahl-E-Sitam Mashq-E-Sitam Karte Rahenge

Manzoor Yeh Talkhi Yeh Sitam Hum Ko Gawara

Dum Hai To Madawa-E-Alam Karte Rahenge

Mai-Khaana Salamat Hai To Hum Surkhi-E-Mai Se

Tazeen-E-Dar-O-Baam-E-Haram Karte Rahenge

Baqi Hai Lahoo Dil Mai To Har Ashk Se Paida

Rang-E-Lab-O-Rukhsaar-E-Sanam Karte Rahenge

Ik Tarz-E-Tughaful Hai To Woh Un Ko Mubarak

Ik Arz-E-Taman’na Hai So Ham Karte Rahenge…!!!