Hosh me bhi hosh sa nahi lagta,

Koi manzar ab mujhe,badalta sa nahi lagta.

Nahi deti garmi ab mujhe sardi ki wo dhoop,

Saawan bhi utna hara sa nahi lagta.

Doob gai tere dard me itni gehrai tak,

Samandar bhi ab mujhe gehra sa nahi lagta.

Kyu karoon shikwa k doobna tha hi mujhko,

k bin doobe to ye dariya paar nahi lagta.

Mila kartein hai hazaar zakhm jinhe apno se hi,

Apna kaatil bhi fir unhe,raqeeb sa nahi lagta.