ek na ek din

ghar ke aage

niim kii shaaKh pe nangaa karke laTkaa duungaa tujhe Manu!

terii ragoN ko chiir phaaD kar dekhungaa

tuune piyaa hai kitnaa lahuu ….. buzurgoN kaa

ek na ek din terii khaal udheDungaa

hameN to sirf brahman, kshatriya aur vaishya kii

sewaa karnaa tuune likhaa thaa

chamaar bhangii aur chanDaal kii tuune likhii taqdiir

gaaoN ke baahar rahnaa aur

TuuTe bartan meN khaanaa

yahaaN ka bhainsaa bhi panDit

gadhaa bhii gangaa jal piitaa hai

lekin tujhko maaluum hai

ab maiNne chiil kii maanind uDnaa siikh liyaa hai

sher kii maanind jast lagaanaa siikh liyaa hai

lafzoN ko hathiyaar banaanaa siikh liyaa hai

ek na ek din

terii khaal udheD ke

tere haath meN rakh duungaa!

tuune mere baap ko nangaa karke maaraa thaa jaise!