Ek Muddat Hui Ek Zamana Hua,

Khaak-e-Gulshan Ma Jab Aashiyaana Hua,

Zulf-e-Barham Ki Jab Se Shanaasayi Hui,

Zindagi Ka Chalan Mujrimaana Hua,

Phool Jalte Rahe Chand Hansta Raha,

Aarzuu Ka Muqakamal Fasana Hua,

Daag Dil Ke Shahansha Ke Sikke Bane,

Dil Ka Muflis Kada Jab Khazana Hua,

Rah-Bar Ne Palt Kar Na Dekha Kabi,

Rahr-o-Raaste Ka Nishaana Hua,

Hum Jaha Bhi Gaye Zauq-e-Sajda Liye,

Har Jaga Aap Kaa Aastaana Hua,

Dekh Mizaraab Se Khoon Tapkne Laga,

Saaz Ka Taar Marg-e-Tarana Hua,

Pehle Hoti Thi Koi Wafa-Parwari,

Ab Tou ‘aasi’ Ye Qissa Purana Hua….!