Dost ban kar b nhi koi sath

‘nibhanay wala,

wohi andaz hay zalim ka zamanay wala,

kya kahein kitnay marasim thay hamarey us say,

Wo jo ik shakhs ha mun phair k janay wala,

Tere hotay huay aa jati thi sari dunia,

Aaj tanha hon to koi nhi aanay wala,

Main ne dekha ha baharon mein chaman ko jaltay,

Hy koi khawab ki taabir btanay wala,

Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhtay ho .DOST.

Dost hota nhi har hath milanay wala.