Door koyee gaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Aasmaan muskaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Kisliye yeh gul khiley hain baag mein: kis sey kahoon?

Abra rah mahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Jag rahey hain parindey bhi aaj, kiskee chaah mein?

Wasl unhain jagaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Kabhee meiney dooriyoun ko dooriyaan samjhaa na thaa:

Hijra bahut sataa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Baahuoun mein ghir na jaaney kyoun chhitak kar door ho?

Koun yuun bahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Shab andheyree thee, nazar aataa nahin thaa kuchh kaheen;

Shafaq raah dikhaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Saath ley raana’aiyoun ko, yah fazah-e-khushnumaa,

Baar-baar manaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Aaj bhi, gar, mil na paaye, kal na jaaney hon kahaan?

Yaar, ‘abd’ bulaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!