Dastak kisi ki hai ke guman, dekhnay tou de

Darwaza humain tez hawa kholnay tou de

Souda hai umr bhar ka, koye khail tou nahi

Ae chashm-e-yaar, mujh ko zara sochnay tou de

Apnay lahu ki taal pe khawahishon ke mor ko

Ae dasht-e-ehtiyat, kabhi nachnay tou de

Yeh saat aasman kabhi mukhtasir tou hon

Yeh ghoomti zameen kahin thairnay tou de

Us harf kun ki ek amanat hai mere paas

Laikin yeh kaiynat mujhay bolnay tou de

Shayed kisi lakeer mein likha ho mera naam

Ae dost, apna hath mujhay dekhnay tou de

Kaisay kisi ki yaad ka chehra banaoon ga

Amjad woh koye baat mujhay bhoolnay tou de