*. . .Chiragh-E-Shab Ko Jese Aandhiyan Achi Nhi Lagti

Kuch Aise Hi Hmain Bi Khush Fehmiyan Achi Nhi Lagti

Jinhain Sone Ke Pinjrey Men Ghiza Mil Jaye Chandi Ki

Unhen Phir Umar Bhar Ki Aazadiyan Achi Nhi Lagti

Wo Jin Ke Dil Men Fasal-E-Gham Ne Daire Daal Rakhe Hon

Unhain Pholon Pe Bethi Titliyan Achi Nhi Lagti

Mera Dil Chahta ha Unhain main Aaena Dikhlaaon

Wo Jin Ko Dusron Ki Khubiyan Achi Nhi Lagti. . .*