bhulaataa laakh huuN, lekin baraabar yaad aate haiN

ilaahii, tark-e-ulfat par vo kyuuN kar yaad aate haiN

na chheD ae ham-nashiiN, kaifiyat-e-sahbaa ke afsaane

sharaab-e-be-Khudii ke mujhko saaGar yaad aate haiN

rahaa karte haiN qaid-e-hosh meN ae vaaye naakaamii

vo dasht-e-khudfaraamoshii ke chakkar yaad aate haiN

nahiiN aatii, to yaad unkii mahiinoN tak nahiiN aatii

magar jab yaad aate haiN, to aksar yaad aate haiN

haqiiqat khul gaii Hasrat tere tark-e-mohabbat kii

tujhe to ab voh pahle se bhii baDh kar yaad aate haiN