Bhulaata Laakh Hoon Lekin Baraabar Yaad Aate Hain

Elahi Tark-e-Ulfat Pe Woh Kiyoonkar Yaad Aate Hain,

Na Chair Aye Humnasheen Kaifiyat-e-Sehba K Fasaane

Sharaab-e-Be Khudi Kay Mumjh Ko Saghar Yaad Aate Hain,

Raha Karte Hain Qaid Hosh Mein Aye Danaa-e- Nakaami

Woh Dasht-e-Khud Faraamoshi K Chakkar Mein Yaad Aate Hain,

Nahi Aati To Un Ki Yaad Maheeno Tak Nahi Aati

Magar Jab Yaad Aate Hain To Aksar Yaad Aate Hain,

Haqeeqat Khol Gai ‘Hasrat’ Tere Tark-e-Muhabbat Ki

Tujhe To Ab Woh Pehle Se Barh Kar Yaad Aate Hain.