Bhir main ik ajnabi ka samana acha laga

sab se chup kar vo kisi ka dekhna acha laga

surmai ankhon k niche phul se khilne lage

kahte kahte kuch kisi ka sochna acha laga

bat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam

hath ko honton pe rakh kar rokna acha laga

chay main chini milana us ghari bhaya bahut

zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga

dil main kitne ahad bandhe the bhulane ke use

vo mila to sab irade torna acha laga

beirada lams ki vo sansani pyari lagi

kam tavajjo ankh ka vo dekhna acha laga

nim shab ki Khamushi main bhigti sarkon pe kal

teri yadon k jalo main ghumna acha laga

us udu-e-jan ko ‘Amjad’ main bura kaise kahun

jab bhi aya samne vo bevafa acha laga