‘ABHI GHAR’

‘NA JANA’

Ye bikhri si zulfen, ye phela sa kajal.

Ye bechain aakhe, ye simta sa anchal.

Tere haal se log pehchan len ge,

Tujhe dekh kar sab mujhe jaan len ge.

Ye behke kadam larkharati jawani,

Ye betab dil or mohabat dewani.

Shafak jese galo pe ubhri hoi hai,

Mere hoto ki ek Mehkti nishani.

Tere jism se urrti meri ye khushbo,

Suna degi har ek ko sari kahani.

Na ban jay apna milan ek fasana,

ABHI GHAR

NA JANA..

ABHI GHAR

NA JANA.