‘Aana meri qabar per do phool chadha jana

Rona na aye muskurke chale jana meri qabar pe ek baar zaroor ana

Mager shart hai ansoo na bahana

Taklif hogì rooh ko bhi aansoo jo aapke niklenge

Rooh royegi meri rooh ko na tadpaya karna

Tere khuwabom mein aya karunga zaroor kabhi yaad karke meri mohabat ko aazmaya karna

Meri qabar pe phool na chadhana ansoovon ke

Bas aakar qabar pe apni mohabat ka saya karna

Meri dua hai tera ghar khushboo se bhara rahe

Tun khushi ki har mehfil mein jaya karna

Meri yaad mein na khona kabhi udaas hokar

Apne humsafar ki agosh mein sojaya karna

Kabhi roker mat pukarna mujhae

Main whan se wapis nahi avunga.(rizwan jani mangi)’