Aaj K Daur Mein Aey Dost ye manzar kyuN hai

zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuN hai

jab haqeeqat hai ke har zarrey mein tu rehta hai

phir zameeN par kahin masjid kahin maNdir kyuN hai

apna aNjaam to maalum hai sab ko phir bhi

apani nazaron mein har insaan sikaNdar kyuN hai

zindagi jeeney ke qaabil hii nahii ab ‘Rahi’

warnaa har aaNkh mein ashkon kaa

samaNdar kyuN hai