‘Parveen Shakir’

Jitna bhi uss ko soochon utna hi

door paaon.

Jitna bhi uss ko chaahon khud hi

bikherti jaon.

Main aam si

musaafir be-aas

be-sahara.

Woh door basney

wala aik aasmaan

ka taara.

Main rait sey

ulajhti sehraaon

ki hawa hon.

Woh saahiloon pe

chalta baad-e-

saba ka jhonka.

Haan farq to bohat

hey par baat yeh

faqat hey.

Main laakh toot

jaon khud hi sey rooth jaaon.

Par yeh na ho ga

mujh sey k main

uss ko bhol jaon.