Har Dam Duaayen Denaa Har Lamhaa Aahen Bharnaa

Un ka Bhi kaam karnaa Apnaa Bhi kaam karanaa,

Yahaan kis ko Hai Muyasar Yeh kaam kar Guzaranaa

Ek Baankpan Pe Jeenaa Ek Baankpan Pe Marnaa,

Jo Zeest ko Na Samajhe jo Maot ko Na Jaane

Jeena Unhi ka Jeena Marna Unhi kaa Marnaa,

Hariyaali Zindgi Pe Sadaqe Hazaar Jaane

Mujhko Nahi Gawaara Saahil ki Maot Marna,

Ranginiyaan Nahi To Raanaaiyaan Bhii kaisi

Shabnam Si Naazneen ko Aata Nahi Sanwrnaa,

Teri Inaayaton Se Mujhko Bhi Aa Chalaa Hai

Teri Himaayaton Mein Har-Har Qadam Guzarna,

kuch Aa Chali Hai Aahat Is Paayanaaz ki si

Tujh Par Khuda ki Rehmat Aye Dil Zaraa Thehrna.