Us ke hathon se jo Khushboo-e-Hina aati hai

Aisa lagat hai ke jannat se hawa aati hai

Choomne daar ko kis Dhaj se chala hai koi

Aaj kis naaz se maqtal main qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se Tere jese sulook

Hath uthtay hi Yehi lab pe dua aati hai

Tere gham ko yeh bar-hana nahi rehne deti

Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehray ki Tamazat bhi hai shaamil is main

Aaj tapti hui saawan ki ghata aati hai

Ghoomnay jab bhi tere shehar main jati hai wafa

Bain karti hui wapis woh sada aati hai

Hai wohi baat har ik lab pe Bohat aam yahan

Hum se jo kehte hue un ko haya aati hai