Un jheel si gehri ankhon mein ik sham kahin aabad to ho!

Us jheel kinarey pal do pal

Ik khwab ka neela phool khiley!

Woh phool baha dein lehron mein

Ik roz kabhi hum shaam dhaley

Us phool ke behtey rangon mein

Jis waqt larazta chand chaley!

Us waqt kahin un ankhon mein us bisrey pal ki yaad to ho!

Un jheel si gehri ankhon mein ik sham kahin aabad to ho!

Phir chahey umar samandar ki

Her mauj pareshan ho jaye!

Phir chahey ankh dareechey se

Her khwab gurezan ho jaye!

Phir chahey phool ke chehrey ka

Her dard numayan ho jaye!

Us jheel kinarey pal do pal woh roop nagar aijaad to ho!

Din raat ke is aainey mein woh aks kabhi aazad to ho!

Un jheel si gehri ankhon mein ik sham kahin aabad to ho