Suno,

Kaanch ki Gurya,

Agar ejazat do

Eik Sargoshi Karon

Tumharey kanon men

Chupke se

Dherey se

Dhemey se

suna don woh such

woh jo meray dil men hay

ke tum bohat sundar ho

Chand ki chandni se ziada

Din ke ujaley se ziada

Gulab ki mehak se ziada

Men tu Tyaar tha

Tumhen tum se churaney ko

Aur pulkon men sajany ko

Sub se chupaney ko

Per waqat Youn hi beet gia

Woh sub pal youn hi guzar gaey

Aur aaj men ye sooch raha hon

Ke Men ney kia paya

Tumhen kho kar

Tumhen fursat miley tu

Tum bhi zara soochna

Tum bhi zara soochna