Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?

Rahay hum bhi gurezaan, aap bhi naaraaz, kya karte?

Sanam tujh se muhabbat ka bhala aaghaz kya karte

Labon per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?

Mere ahbaab kyaa karte, mere dam-saaz kyaa karte?

Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?

Hujoom-e-shehr me hum kho… gaye kuch chain paane ko

Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?

Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha

Usey bhaati thi toote kaanch ki aawaaz, kya karte?

Ham us ke saamne chup saadh kar baithaa kiye, phir bhi

‘Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?’

Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi

Magar ANMOL ke tum jaan kar woh raaz, kya karte