Khuda jane kahan se jalwaye jana kahan tak hai

Wahin tak dekh sakta hai nazar jiski jahan tak hai

Hum itni bhi na samjhe aql khoi dil gawan baithe

Ke husn o ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai

Zameen se aasman tak ek sannate ka aalam hai

Naheen maalum mere dil ki viraani kahaan tak hai

Zameen se aasman tak aasman se la makan tak hai

Khuda jane hamare ishq ki duniya kahan tak hai

Niyaz o naaz ki rudad husn o ishq ka qissa

Ye jo kuchh bhi hai sab unki hamari dastan tak hai

Khayal e yaar ne to aate hi gum kar diya mujhko

Yahi hai ibteda to inteha iski kahan tak hai

Suna hai sufiyon se hamne aksar khanaqahon mein

Ki yeh rangeen bayani Bedam rangeen bayan tak hai