‘Kyun aankh mai behtay huay ashkon ki lari hai,

Chup reh meray ham watan Qiyamat ki ghari hai.

Hota hai kuch gumaan sa Maidaan-E-Hashr ka,

Har aik Musalman ko apni hi pari hai.

Mit jaye mera Dais ye halaat bana kar,

Atraaf ki har qaum tamashy pe khari hai.

Phir surkh surkh hy meray daryaon ka pani,

Lagta hai kaheen khoon ki barsaat pari hy.

In zalimon ko jarr se mita de Ay mere RAB,

Sab hath uthao k DUAON ki ghari hy.