koi ahd be usko

‘koi ahd be usko yaad nahi, koi baat be usko yaad nahi

ik shakhs ne usko chaha tha wo zaat be usko yaad nahi

jab shab ki bijli chamki thi, aur badal toot ke barsey thay

ham dono’n jis may bheegay thay, barsaat be usko yaad nahi

wo sahil, darya, phool hawa, wo wa’ada sath nibhanay ka

aur shab bhar chand ko daikhna tha, wo raat be usko yaad nahi

wo kehti thi main sunta tha, main kehta tha wo sunti thi

unn lakho’n bato’n mai koi, ik baat be usko yaad nahi

haa’n qissa tha wo bachapan ka, ik shakhs tha thora gum’sum sa

un wasl ki pahli raato’n ke, lamhaat be usko yaad nahi

tab jazbo’n me’n be shid’dat thi haa’n saanso’n me’n be hid’dat thi

wo bhool gaya ha sab shayad, jazbaat be usko yaad nahi’