Door reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe acha laga

tu bata ,aakhir tujhe yeh waaqiaa kaisa laga?

Itne faslay mein bhi hain teri qurbat ke mazay

tujh se milna,tujh ko chahna mujhe acha laga

Silsalay teri yaadun ke phailay hain har taraf

teri chah,teri raah mein bhatakna mujhe acha laga

Raakh urrne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadun ki

shaam dhalay teri yaad ke deep jalana mujhe acha laga

Kaise kahun tere bin dasti hai mujh ko tanhaii

teri ulfat,teri furqat mein ratt-jaga karna mujhe acha laga

Woh aanch thi hawa mein ke kali tak bhi sulagg gaii

aise mein tera ghatta ban ke barasna mujhe acha laga

Faaslay mitt na paaein ge inn dooriun ke kabhi

tasawar mein tera aa ke dil ko behlana mujhe acha laga

Cheen li neend jab aa ke teray khiyaalun ne

tere tasweer pe chupke se hountun ko rakhna mujhe acha laga

LIBRA SUNAAR