Jo Zikar e Ali (A.S) Sunnay Sunanay Nahi Aatay

Jannat Mein Makan Un Ko Bananay Nahi Aatay

Jo Sotay Hain Marqad Mein Hub e Ali (A.S) K Sath

Munkir Nakeer Un Ko Satanay Nahi Aatay

Tatheer Ki Aayat Ko Samjh Letay Agar Tum

Dil Fatima Zehra (S.A) Ka Dukhanay Nahi Aatay

Ghar Un K Balaon Mein Ghiray Rehtay Hain Har Dam

Ghazi (A.S) K Alam Jin Ko Sajanay Nahi Aatay