Hussain (A.S) Sab Ka Hussain (A.S) Sab Ka

Hussain (A.S) Rab Ka Hussain (A.S) Jag Ka

Woh Murtaza (A.S) Ka Woh Mustufa (S.A.W.W) Ka

Woh Sufiyon Ka Qalandaron Ka

Woh Khushkiyon Ka Sumandaron Ka

Hussain (A.S) Ummat Ka Peshwa Hai

Hussain (A.S) Millat Ka Rehnuma Hai

Na Jis Ne Mana Na Jis Ne Jana

Toa Us Ka Dozakh Mein Hai Thikana

Hussain (A.S) Sab Ka Hussain (A.S) Sab Ka

Hussain (A.S) Insaniyat Ka Pekar

Hussain (A.S) Hadi Hussain (A.S) Rehbar

Hussain (A.S) Woh Inqilaab Laya

Baqa Ki Aesi Kitaab Laya

K Jis K Unwaan Hai Shahadat

Shaheed Zinda Ta Qayamat

Hussain (A.S) Sab Ka Hussain (A.S) Sab Ka