Teri laash ko main Asghar dafnaou ab kahan.

Dhoonday gay tujh ko naizay chaaron taraf yahan.

1) Jhoolay main ho raha hay, kyun bay karar dekho

Kaarvat badal raha hay kyun baar baar dekho

Jab say sunee hay isnay Akbar teri azaan.

2) Manzar yeh dekhtay hi, arsh-e-bareen hilla hay

Ghutnon kay bal hay betha chehray peh khoon maala hay

Sabir Hussain jaisa layta hay siskiyaan.

3) Tera mazaar beta, haathon say main saajata

Afsos meray Asghar majboor tera baba

Khud hi mita raha hai teri qabr ka nishaan.

4) Nazuk galay peh vazni, jo teer seh gaya hai

Roota nahi hay bus ye gayoor sochta hay

Khaimon say cheekh sun kay kahin aana jaye maa.

5) Fojh-e-sitam nay dekhi, taseer-e-khoon-e-Haider

Dushman ko dekhtay hain Asghar you saar utha kaar

Lab pay hay muskurahat chehray peh itminaan.

6) Saqlain jab bhi hongay, zahir Imam-e-Aakhir

Rutba milayga aala sub hongay unkay nokar

Asghar kay matami aur Asghar kay noha khan.