Madh e Sarkaar ka saaman kahaan se laaoon

.

Mustafa sa koi unwaan kahaan se laoon

.

Naat kehne ko agar thehar bhi jaaey mera dil

.

Mein bhala jurrat e Yazdaan kahan se laoon

.

Wo agar saamney aaen to unhein dekh sakun

.

Mein Khudawand k ausaan kahaan se laaoon

.

Dil ka dil hai k karun dil se sanaaey Sarwar

.

Kya karun wus’at e Quran kahan se laoon

.

Khuld men puhanchna chahen jo Muhammad k baghair

.

Is qadar bhi dil e Nadaan kahan se laaoon

seekinGTrutH