Aap Sallalahu Alaihi Wasallum ne farmaya: ‘har wo ahm kaam jise Bismillah se shuru na kia gia ho wo naqus aur us ka na koi sawaab aur na hi barkat hogi.’

Hazrat Jabir Bin Abdullah ne farmaya:’jab ayat e Bismillah utri to aasman ki taraf badal chah gae,Hawaen ther gain,samander khamosh ho gaya, janwaron ne kaan laga ker suna, shetan per shole barasne lage aur Allah ne apni zuljalal ki qasam kha k kaha:jis cheez per mera naam lia jae ga us men zaroor barkat daalon ga’

*=*=*=*=*=*=*=*

Pus jo shaks Bismillah ka wird jari rakhe ga us ka har lamha ibaadat men shumar hoga.

[AMEEN]