Iss duniya k bassi b ajab ajab se kaam kartay hain,

Sari zindagi ik bewafa k naam karty hain,

Kar letay hain un ki soch mein khud ko gum-naam,

Aur phir khud ko un mein talash karty hain,

Khud kho jatay hain madhoshi k aalam mein,

Aur zindagi ko un k naam karty hain,

Chaltay phirtay har shakhs ko dekh kar us k,

Saye mein b un ko talash karty hain,

Khayalon ki to baat rahi aik taraf,

Khuwabon mein b un ka dedaar karty hain,

Bithaye rakhty hain khud ko samnay un k ghar majodgi mein un k,

Yon he bethay subha se shaam karty hain,

Dekh kar har phool mein un k mukhrray ko, Najanay keun woh phoolon ko b salaam karty hain,

Woh samnay hon to ho ga kaya aalam.?

Un ko dekhay bagair he un se kalaam karty hain,…