jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai

nazar aap hii se milaanaa bhii hai

muhabbat kaa har bhed paanaa bhii hai

magar apnaa daaman bachaanaa bhii hai

jo dil tere Gham kaa nishaanaa bhii hai

qatiil-e-jafaa-e-zamaanaa bhii hai

ye bijlii chamaktii hai kyuN dam-ba-dam

chaman meN ko’ii aashiyaanaa bhii hai

Khirad kii ata’at zaruurii sahii

yahii to junuuN kaa zamaanaa bhii hai

ye duniyaa, ye ‘aqbaa kahaaN jaaiye

kahiiN ahl-e-dil kaa thikaanaa bhii hai

mujhe aaj saahil pe rone bhii do

ke tuufaan meN muskuraanaa bhii hai

zamaane se aage to baRhiye “Majaz”

zamaane ko aage baRhaanaa bhii hai