Beniyaaz-E-Gam-E-paimaan-E-Wafaa ho jaanaa,,

Tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa,,

Main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain,,

Tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa,,

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa,,

Tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa,,

Ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar,,

Tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa….. ‘Ahmad faraz’