Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai

Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai

Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzaari Hai

Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai

Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge

Kuch Apna Dil Jalayein Ge, Kuch Unnko Aazmayein Ge

Dabe Paaon Hamein Aa Kar Kisi Ka Gud-Gudaa Dena

Woh Apna Rooth Jana Aur Woh Unnka Manaa Lena

Woh Manzar Jhaankte Hain Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se

Bhula Sakta Hai Kaise Koi Woh Anzaad Bachpan Ke

Hamein Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabru Hona

Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafaa Mein Surkhuroo Hona

Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Maang Bhar Dein Ge

Yeh Dil Kya Cheez Hai, Hum Jaan Bhi Qurbaan Kar Dein Ge