tere firaaq k lamhay shumar kartay hovay

bikhar chalay hai tera intizzar kartay hovay ..

main bhi khush hoon koi ja kar usay yeh keh dain

aghar wo khush hai mujhy beqarar kartay hovay ,,..

main muskurata hova aiyenay main ubhronga

wo ro paray gi achanak singar kartay hovay …