Elahi teri makhloq ka ajab ik tamasha dekha,

Chhalaktey jaam dekhey samandroo ko pyasa dekha.

Ye kya majra hai apni to samaj mai nhi aya,

Admi apni hi justju mai ulajhta dekha.

Jin k haath thay khali wo masrof-e-zikr dekhay,

Haathon mai liye tasbi-e-anmol waaiz ko bhatkta dekha.

Alhamd-u-Lillah ka matlab to samajh mai aya,

Siraat-e-mostaqim k matlab pay Logon ko jagharta dekha.

Eiman bechtay huay ADAM k betay dekhay,

HAVAA ki beti ko sar-e-bazar bikta dekha.

Kese dunya k makr-o-fraib se samjhota kr loon,

K in aankhon ne kitne jalte diyoon ko bhujta dekha…!